Tuesday 18 November 2014

Yaaden teri...

Dil ke har ek konay me...
hassne me, ronay me..chhupi hain yaaden teri
Mehfooz lihaaf-e-maazi me,
Saanso me liptee hui...rakkhi hain yaaden teri

Ehsaas-e-tanhaai ke... tasavvur par hassta hu mein
Thaam kar kalaai meri...khadi hain yaaden teri

Kuchh hai jo mein... abb tak nahi samajh sakaa
Kuchh hai jo reh reh kar...kehti hain yaaden teri

Khana badosh shabnam ki... talaash mein sehraa me hu
Veerane me bayaar si... lagti hain yaaden teri

Saavan me bankar phool... khil jaati hain shaakhon par
Patjhadd me bankar kaante...chubhti hain yaaden teri

Kabhi lagta hai chhod du me ghar... ashqon se nijaat ko
Magar inn darr-o-deewar par... tangee hain yaaden teri!

Monday 3 November 2014

Alvida

Kab ye tufaa.n thame, aur sahil par utar jaau
uske baghair jeene ke tassavur hi se darr jaau

wo kuchh kehta bhi nahi, sunnta bhi nahi meri
aakhir kis laraz ki ummeed se mein ghar jaau

kabhi samjhaau dil ko, wo abb nahi lautega
fir kisi aahat ke ehsaas se thhahar jaau

peer-o-mazaar, darr hazaar, jaakar manga thha usse
abb usse bhulaane ki khaatir mein kidhar jaau

zindagi intezaar me guzar gayi bila-haasil,
wo "alvida" hi keh de, mein chain se marr jaau!

Wednesday 24 September 2014

Kehne waale..

Durust farmaate hain janaab ko kaatil kehne waale
Magar khush hain katl ko haasil kehne waale

Isse shoharat ki ibtada kahu ya badnaami ki intehaa
Jawaab dein mere janaaze ko mehfil kehne waale

Mallah kashti ke liye ladd jaate hain dariya se
Peer bann jaate hain 'aa gaya saahil' kehne waale

Maine kitaabo.n se taqreer nahi seekhi hai kabhi
Magar naada.n hai hasskar mujhe jaahil kehne waale

Zamaana unke qaasay ki keemat laga nahi sakta
Wo jo faqeer hain khandaharo.n ko dil kehne waale

Kisi se raabta koi maraasim shadeed soch kar rakhna
Lut jaate hain humsafar ko manzil kehne waale!

Tuesday 12 August 2014

Munasib nahi...

Shayad munasib nahi ab aur manana usko,
Mil jayega ruuthne ka koi aur bahana usko

Kisi daur me hota thha muntazir meri gazal ka musalsal
Abb raas nahi aata mere gham ka tarana usko

kabhi sunta thha meri baate.n raato.n ko neend se mehruum
ab qayamat sa lagta hai mera do lafz ka fasana usko

Meri khidki par tahalna chhod do, mujhe gila nahi beshak
Magar jaao hawaao.n... Aandhiyo.n se bachana usko

Rubaru hone se gurez hai toh khat likh du usse
Me salamat nahi bass itna hai batana usko

Jo dete ho tanz mujhe berukhi ke reh rehkar
Kabhi waqt mile toh ek lamhaa aazmana usko!

Thursday 31 July 2014

Tum gaye toh..

mushkil meri saanso ka basar ho gaya
begana sa mera apna shahar ho gya
tum gye toh deewaro.n se marasim ujad gye
ghar makaa.n na hua, khandahar ho gya!

Khalbali

Kal sham khalbali si much gayi shaamiyaane me,
Maut mujhe dhoondte hue aa dhamki maikhaane me,
Maut kabhi mujhe toh kabhi mere jaam ko dekhti rahi,
2 katre zindagi ke abhi baaki thhe paimaane me!

Zindagi uski

taqseem mere shab-o-roz ko karti hai hasee uski
armaa.n zayed hain mere toh kya galti uski

sharab ab bebas si bedum si lagti hai mujhko
juda hai wo phir bhi rehti hai bekhudi uski

mera qaasa bhara hai maazi ke khush manzaro.n se bass
khwaishhe.n meri aur aab, aasma, zamee.n uski

zamana zaalim, log nadaan dete hain tohmat usse
mujhe gudgudati hai zazbaat se barhamee uski

andhere mere hisse batwaare me aa gye
aur reh gyi raato.n ki chandni uski

musalsal koshishein alhadaa hone ki nakaam hoti hain
lab mere - tishnagi uski, aankhen meri aur nami uski

vasiyat zameer likh gya thha ruuh tak uske naam
jab wo hi khafaa hai toh kya rakhu.n zindagi uski!!

Wednesday 23 July 2014

Maikhana

Naseeb se humara yaarana na hota,
Har shab khoobsurat ye zamana na hota,
Zindagi ki gaflatein khatm kar deti hume,
Jo chaar kadam ghar se maikhana na hota!!

Monday 21 July 2014

Raaz

Maine uss tak se chhupai... uske husn ki intehaa.n
Aur uss pagali ko shikayat hai... ke me koi raaz nahi rakhta!

Friday 18 July 2014

Chhup jata hai chaand kaali badli me kabhi kabhi...
Toh lagta hai teri aankhe teri surat par haavi ho gyi!

Thursday 17 July 2014

Khushnaseebi

Tum yakeen karo toh khushnaseebi hogi...
Sach hai k tum bin kuchh nahi ye zindagi hogi...

Andhron me tumhari awaaz k sahaare chalta hu me...
Tumhara haath thaame bagair kya shamaao ki raushni hogi...

Saraa jahaan jalega mujhse amaavas ki raat ko...
Mere paas teri muskuraahat ki chandni hogi...

Mujhse khuda ne puucha thha k kya chahiye mujhe...
Me samajh nahi payaa tere rehte ab kya kami hogi...

Suukha zamana karega baarish ki duaa har roz...
Mere aangan me tere kadamo se shabnam ki nami hogi

Tum yakeen karo toh khushnaseebi hogi....

Kalam

Kuchh saanse, kuchh dhadkanein mujhme bedum chhuut gayi,
Wo juda hua toh aankho me shabnam chhuut gayi,
Jagah na bachti iss duniya me kaagaz ke purzo.n ke liye,
Zamaana khushnaseeb thha jo meri kalam chhuut gayi!