Saturday 21 September 2019

Mat aana

Chal tujhe fikr-e-hum na Sahi.. na Sahi,
taalib-e-qalaam iss shehar ki khatir mat aana!

Ghazal khaak ho jaaegi fikr-e-raqeeb se jalkar,
Tumhe kasam hai mehfil me mujh Shayar ki khatir mat aana!

Friday 13 September 2019

Bahut ho chuka

Aawargi bahut ho chuki... Ab ghar bhi jaae.n
Tuut toh chukay hi hain... Bhikhar bhi jaae.n

Ye bhaag daud ki bahut ho chuki zindagi
Koi intezaar toh ho... Theher bhi jaae.n

Faqeeri, darveshi, ibaadat bhi bahut hui
Rukh-e-naksh karein tabdeel.. sawar bhi jaae.n

Khud Ko bahut samjhaa chuke k uski talab nahi
Guroor-e-khudmukhtaari sir se ab utar bhi jaae

Zindagi se maukay jeenay ke kuchh khaas nahi milay
Ek adad mauka maut de... Toh marr bhi jaae.n!

Tuesday 10 September 2019

Al-subah

Al subah ghar se Sukoon kamaane niklay,
Hum phir naseeb-e-ba-azaab Ko aazmaanay niklay!

Be-rabt, be-qarz, Bila yaadaasht hi bhalay thhe hum,
Aaj unse takraa gaye toh sau hisaab puraanay niklay!

Aaj fir usnay humse sar-e-raah na-ashnaai ki,
Aaj fir hum usse yaad maazi dilaanay niklay!

Qalam khamosh ho jaati hai gham ki sohbat k bagair,
Wo chhod kar Gaya toh kitaab bhar taraanay niklay!

Phir chhupkar humne pochh li palkein hijaab se,
Fir muskurahat ka Naqaab, aainay Ko dikhaane niklay!

Tamaam ghar, deewaro-darr dhoonda jinhe bedum,
Wo tere khwaab jummay Ko mere sirhaanay niklay!