Tuesday 28 April 2015

Darmiyaan

Muravvat muhaajir si ho gai ameero.n k darmiyaa.n
Adab khush hai gurbat me faqeero.n k darmiyaa.n

Samundaro.n par tehaltee saadgi saahil se jaa mili
Duub gai numaaish jazeero.n k darmiyaa.n

Humne sunaa thha insaaf milkiyat khuda ki hai
Fir humne dekhi adaalate.n safeero.n k darmiyaa.n

Zamaana mughalto.n me khush hai mera guroor toddne ke
Guroor nakkaashi hai mere haatho.n ki lakeero.n k darmiyaa.n

Raeesi maayus hai hazaar mehfilo.n me gumsum
Faqeeri chilam pee rahi hai zameero.n k darmiyaa.n!

Monday 16 March 2015

Ek dua...

Marz-e-chaahat ki kaash koi dawaa hoti
Toh ae naseeb teri aisi bhi fitarat na hoti.

Hum bhi aaye thhe tamaam khwabo ko chhodkar
Kash usme bhi ek ratti bhar hayaa hoti.

Ghar jal gayaa magar duniyaa toh qaayam hai
Duniyaa jiski khushi hai wo toh be-gilaa hoti

Apni mitti se judkar usse shikwe hain hawaaon se
Tajjub puuchhta hai mujhse wo khush aur kahaan hoti

Meri bandagi k har zarre me uski muskurahat ki tamanna hai
Kaash uski ibaadat me mere liye ek dua hoti!

Tuesday 17 February 2015

Muskuraahat

Dahleez-e-haram ko uski aahat nahi lauti

Tufaan ke baad basti me basaahat nahi lauti

Meri kushiyo.n ko usse kuchh aisa thha raabta...

Wo gaya tab se meri muskuraahat nahi lauti!

Jashn!

Zamana zaalim thha..wo bhi sitam me aa jaata,
Haqeeqat na sahi...khayaal-o-bharam me aa jaata,
Maine khushi ka sog manaya thha usse alhada,
Kuchh chain milta jo wo jashn-e-gham me aa jaata!!

Friday 2 January 2015

Ittefaaq

Har roz mil jaate ho... raah me muskuraate hue
Tum dost ho, humsafar ho... ya mahaz ittefaaq ho!

Jis simt bhi jaata hu... bus tum tak pahuch jaata hu
Tum manzil ho, dagar ho... ya mahaz ittefaaq ho

Kuchh simte simte lagte ho... kuchh bikhre bikhre lagte ho
Maazi ka koi manzar ho... ya mahaz ittefaaq ho

Har shaam ghar lautate hue... bus tum yaad aate ho
Shayad tum hi mera ghar ho... ya mahaz ittefaaq ho

Mere khwaab, haqeeqat, tasavvur sabhi...tumhare gird ghumte hain
Mera bichhda hua shahar ho... ya mahaz ittefaaq ho

Ek chhuan se jism me kai... saaz machal utthate hain
Mauj me aai koi lehar ho... ya mahaz ittefaaq ho

Intezaar tumhara rehta hai... aate ho kayaamat hoti hai
Tum sardiyo.n ki sahar ho... ya mahaz ittefaaq ho!