Tuesday 8 November 2011

Tanhaaiyaa.n buland..ab zamee.n nazar nahi aati
Andheri dasht...koi kamee nazar nahi aati
Waqt-e-rukhsat ruuh khuli chhod gayi aankhe.n
Unhe khuli aankho.n ki bhi namee nazar nahi aati!

Friday 4 November 2011

zakhm dene waale...zaroori nahi k dard samjhen
yaadon k dhundlaane ko...naseeb kahein ya gard samjhein
raatein veera.n hain..teri aawaz k bagair
mausam ko ilzaam kaisa...hawaaon ko kya sard samjhein!

Thursday 3 November 2011

Kya Karu!

bekhudi se gurez hai
phir bhi tera nasha karu.n
meri bisaat tak nahi ke
teri wafa par shubaha karu.n

mere labon par izhaar,
teri peshani par shabnam
tere hausle ki dua karu.n
ya teri paakeezgi ka gumaa.n karu

meri ruuh bhi karti hai,
sajda tera namaz me..
apni bandagi ko kalam karu.n
ya tujhe mashahur khuda karu.n

iss ummeed me rehguzar par
ta-muddat basar karta raha
ke tu kabhi kabhi guzra kare
aur mein tujhe dekha karu.n

tu na sahi, saaya hi tera
chhu jaaye mere saaye ko
iss talab raah k dono jaanib
har shab roshan shama karu.n

har zarra teri nazro.n ke
nuur se roshan hai
bata kahaan chhupkar aakhir
me naseeb par roya karuu.n

Wednesday 2 November 2011

Chalne ko kaha karte ho kyu..thehar jaane k baad
Fir bula lete ho chhat par..ghar jaane k baad
Kitni dafe kahuu.n tumse..itna na mehka karo
Mitti bankar aate ho yaad..shehar jaane k baad
Mujhe khabar nahi iss tufaa.n k baad,
Uss basti ka kya hoga..
Magar usse khatm karte karte,
Isse khud fanaa ho jaana hai!
Har shaam jaate hue..bass isliye pukaarta hu tujhe
Ke mere jeene ko kaafi hai..tera mud kar dekh lena!

Monday 17 October 2011

Sochta hu bhool hi jaae zamana mujhe toh achha hai..
Jab zikra hi na hoga toh rusvaai kya hogi!!

Monday 3 October 2011

Sochta hu ke bass..tere liye gaya karu
Teri hasi sunta rahu..aur tujhe hasaaya karu
Teri neend ki maasumiyat..hai qaabiz mere tasavvur par
Tamanna hai tu sota rahe..me sir tera sehlaayaa karu!

Friday 30 September 2011

Ye zindagi hai...

Veerano.n me bahaaro.n ka...khil jaana hi zindagi hai
Dhadkano ko sunkar lub sil jaana hi zindagi hai
Kabhi chiraag talay dhundne se bhi..milte nahi ujaale
Andheri dasht me kisi ka yun..mil jaana hi zindagi hai!!

Hisaab

Meri aankho.n ka bheegne ka...wo khwaab bhi puura hua
Waqt chidhaa raha hai dekho uska..rubaab bhi puura hua
Kuchh puraana shayad mera...ehsaan thha naseeb par
Mujhe ataa hua kuchh waqt tera..ye hisaab bhi puura hua!!

Wednesday 28 September 2011

Zindagi

Suukhi ret ki tarah haathon se fisal jaati hai zindagi
Ruubaroo hote hote aksar, nikal jaati hai zindagi
Ye khushfeham hai k badal degi dastuur zamaane ka
Zamana hass padta hai jab khud badal jaati hai zindagi!!

Thursday 22 September 2011

qayamat aati hai jab naseeb ka faislaa aata hai
lut jaati hain basaahatein..jo ye zalzalaa aata hai
jab haathon me shamsheer thhi..toh bhul gaya thha me
ke kabragaah ke baad bhi ek marhalaa aata hai!

Wednesday 21 September 2011

dost dete rahe dua tujhe... mere kalme me beshumaar..
ye tera intzaar hi toh thha... jo itne baras saanse chali!

Friday 16 September 2011

Naseehat

naseehat reh reh ke deta hai
jo ishq na karne ki wo..
koi aur tarqeeb bata jaaye
tuut kar bikharne ki wo

tehzeeb ke pardo.n par
hai ibaarat bahut padhi
ab taaleem mujhe de de
hadd se guzarne ki wo

ek hum ke mit jaayein
ek adaa par uski
aur zehmat nahi uthhata
ek aah bharne ki wo

taa-umra intazaar yeh
karta raha hu mein
ke kabhi toh kahega baat
do pal theharne ki wo
Ek muddat se tamanna hai dil ki...ke raah me tu bhi saath chale
Ek pal tera saaya ho...ek lamha dhoop se rahat ho!

Tuesday 13 September 2011

Nikla na karo lekar yun teer-e-nazar sar-e-aam
Aadha shahar qatl ho chuka nishaana chuuktay chuuktay!

Friday 2 September 2011

ab gurez mujhe neend ki raahton se hain
sahara kuchh magar betaab karwaton se hai
chahat jaati hai har roz k maraasim ujaad kar
ranj hazaar mere chadar ki salwaton se hain!

Wednesday 24 August 2011

seekhna hai usse mare huo.n ko qatl kar dena
puuchho sabab-e-zafa toh muskura deta hai wo!

Tuesday 23 August 2011

Lagta hai...

rabt unn nazaro.n se
puraana koi lagta hai
laut aaya sa jeene ka
zamaana koi lagta hai

bazaar ki bheed me
ungliyo.n ki sehmi chhuan
tasavvur me hatheli ka
dabaana koi lagta hai

aankho.n se naqaab
palko.n ke uthhte tauba
qatl hota hai jab bhi
nishana koi lagta hai

saqi ab ibaadat ke
sirhaane par qaabiz hai
marhala bana shayad
maikhaana koi lagta hai

Tuesday 9 August 2011

Kuchh naya kiya jaaye...

chalo kuchh naya kiya jaaye
usse alvida kaha jaaye
kuchh chahat se bhi ranj ho
kuchh toh ye nasha jaaye

kab talak ye hosh ka
veham hosh par kaayam rahe
do lamha chain ab
madhoshi ko diya jaaye

kushfehmi yeh ki wo
ab tak meharbaan hai
ek baar nadaan dil se
sach bayaan kiya jaaye

shikwe hazaar thhe magar
ek lafz na kaha usse
socha pareshaa.n nizaam ko
kyu khwamakhaa kiya jaaye

dhadkano.n me tera naam
dil ko gurez zikra se
chalo zakhma ko dard se
aakhir juda kiya jaaye

Monday 8 August 2011

Urdu

waah re urdu..tera naseeb bhi ajeeb hai,
zubaan mohabbat ki..aur bolte hain 'dehshatgard' bhi!!

Saturday 6 August 2011

Ye bade shahar..

Ye insaano ki andhi bheed,
ye chhilte pair...ye jhukte sir..
mujhko raas nahi aate,
ye bade shahar..ye chhote ghar

ek zarra mitti ka nahi,
jise me apna keh saku..
ye ameeriyat k naye safay,
bass ek takiya aur chaadar

ek katra jeene ki khatir,
meelon tak chalna bedum..
shaam dhale phir gin lena,
kuchh ghutati saanse mutthibhar


udane ki chaah liye aaye,
bairan mitti par paday hue..
ab aasmaan ko taakate,
ye khuun se lathpath katatay parr

ye jung bhi kaisi jung hai,
ke saans mili ya fateh mili..
ye sahme chehron ke naasuur,
ye cheekhte haathon mein pathhar!

mujhko raas nahi aate...
ye bade shahar..ye chhote ghar..

Wednesday 3 August 2011

Talab...

ek qash mere jashn me lagaana chahiye thha
meri barbaadi ki mehfil thhi..tujhe aana chahiye thha

yeh kasuur thha talab ka k chahat bhi nakaam hui
maine basaya thha ek ghar...tujhe zamaana chahiye thha

wo ek arse se khamosh thha...magar aala zazb-farosh thha
meri aamad se qaatil bann gaya..usse nishaana chahiye thha

log bhi maayus thhe...samaan-e-guftagu na thha
mere janaazay me machal utthe...unhe fasana chahiye thha

abb bhi muskura raha hoga...wo bazm-e-raqeeb me masruuf
yeh dard-e-vasl usse bhi...aazmana chahiye thha

mere ashkon ko bhi aaj...ek manzil si mil gayi
mein samajhta raha mohabbat...inhe maikhana chahiye thha!

Monday 1 August 2011

kal shab jashn-e-shahar mein kisi ko sone na diya humne..
darr thha wo kisi aur ke khwaab me na chala jaaye!

Monday 18 July 2011

intazaar

khata hui jo kiya vada-e-aamad ka aitbaar
kab talak nibhaau aakhir saanso se jhoota qaraar
badi mushkil thhi zindagi...ab marna bhi mushkil hai
maut ko mera intazaar...mujhe tumhara intazaar

Friday 15 July 2011

kaise?

aie chhodkar jaane waale
bata tujhe manaau kaise
tere liye ye shauk hai
mai zindagi bhulaau kaise

meri aankhon me tera aks
teri aankhon ne dekha ab tak nahi
deed-e-zaahir bhi jab mushkil hai
jo jigar me hai dikhaau kaise

me qatra qatra mitti hun
teri baarish ki talab me zinda
tu zarra zarra aasmaa
bata tujhe chhu paau kaise

tu kehta hai daastaan-e-gham
sunaao toh taa-anjaam sunaao
waqt saanson ka kuchh kam hai
bata har dhadkan sunaau kaise

tere junuun-e-aatish ki khatir
maine ghar tak jala dala magar
tere liye me khaak hu
tere kehne se jal jaau kaise

achhi nahi...

chahta hu bhool jaau tujhe
ye veeraniyaa.n achhi nahi
yaadon ki bheed me saanson ki
ye tanhaaiyaa.n ...achhi nahi

tum machalte thhe jis duub par
sochta hu dhak du usse
pairahan ki siskati hui
ye nishaaniyaa.n achhi nahi

khushnuma aagaaz thha...
aur anjaam... bass dard
taqdeer ki likhi hui..
ye kahaaniyaa.n achhi nahi


tere hothhon ko chhukar
jo khile thhe gul, murjhaa gaye
ab ujade gulshan me kaaton ki..
nigehbaaniyaa.n acchi nahi

Wednesday 13 July 2011

Purani Yaadon ki daraaz...dobara

puraani yaadon ki daraaz
kal shaam phir khul gayi
khayaal yaadon k ghar gaye
kuchh lamhe se bikhar gaye


ek zhalak uss maasoom chehre ki
ek daraar se zhaankti dikhi
aur aankhon me shabnam k katre
khabar nahi kab sawar gaye


aaj fir hausla kia
iss silsilay k anjaam ka
haath khato.n ki aur utthe
aur phir thahar gaye


mehfil-e-mazi k shor me
kab aankh lagi kab jaam gira
phir safar wohi shuru hua
phir manzil k nishaa.n guzar gaye


puurani yaadon ki daraaz...

Tuesday 12 July 2011

Puraani yaadon ki daraaz..

aankhen bhiga jaate hain wo din
jab bhi yaad aate hain wo din..

jab har subah...
gali me khade hue,
pukaarte thhe kuchh dost..
chai ke 'tthiye' ka bulaava dene
wo roz k shagoofon ki
naadaani ko badhawa dene!

aankhen bhiga jaate hain wo din
jab bhi yaad aate hain wo din..

jab shaam k waqt...
yaaron k saath..
nikalte thhe 20 ka petrol dalwa kar..
wo safar bhi kuchh aur thha
raat k gyarah baje laut te hue
papa ka dar bhi kuchh aur thha


aankhen bhiga jaate hain wo din
jab bhi yaad aate hain wo din..

imtihaano k mausam me,
pass hone ki tension me,
jaagte thhe kitabon k saath..
padhte kuchh khaas nahi thhe
intzaar raat k teen baje,
wo naashte ka hota thha!
wo ghar se puraane bazaar tak ka raasta
apna suroor uss raaste ka hota thha

aankhen bhiga jaate hain wo din
jab bhi yaad aate hain wo din..

garmiyon me chhaton par..
tehalne k bahaane hote thhe
2 lafz kisi ko wo dil k sunaane hote thhe
pados ki chhat ki halchal ki
baat johte thhe ladke kal k
wo aakhri ciggrett ka dhuaan
qash kheechte thhe sambhal sambhal k

aankhen bhiga jaate hain wo din
jab bhi yaad aate hain wo din..

abb bhi bachhon k se tassavur
mujhe chhedte hain...kehte hain
kabhi waqt se hua koi qaraar
toh palat kar kuchh duur jaaunga
unn lamho ki galiyon me..
unn galiyon k lamho me..
ek baar zaroor jaaunga!!

Fark kitna hai...

milte rahe iss dasht me
kuchh juda adab k dost
bazm-e-jigar me reh gaye
jaane kab kab k dost

idhar jaan par mushkil,
udhar mehfil me qahqahe,
mile hain bade 'naseeb' se
aise gazab k dost!

taqdeer par har ranj ka
ilzaam kaise lagaaye
ye dosti k sabab hain
ya ranj-o-sabab k dost!

ab aadat si ban gayi hain
har roz ki tanhaaiyaan
subah anjaan se lagte hain
mehfil-e-shab k dost!

fakeeeri k apne faayday
ameeri k apne qaayday
fitrat se kitne juda hain
tab k aur ab k dost!

Zamana

aadat hai bemoravvat mere yaar nikalte hain
mehfil se tanhaa hum har baar nikalte hain

rehguzar me milne waalon ko humsafar na samjhna
suna hai 'insaan' ab sar-e-baazaar nikalte hian

qatl k kisso ko daba jaate hian qahqahe
afsaane ban jaate hain jo aasar nikalte hain

ab marz se zyada khauf dawa ka rehne laga
aajkal qaatil khud charaagar nikalte hain!

Log...

karte hain har jumle me
jo zikr mohabbat k log
dhadkano ko chhu jaate hain
zameeri siyaaasat k log

me ab tak dhuaan ho jata
gaflaton me zindagi ki
mujhe bachaye hue hain kadaa se
kuchh zinda tabiyat k log

wo farishte thhe...yaar thhe,
ya rehguzar k saaye thhe
zamaane ki shakl sawaar gaye
aakar kuchh jannat k log

me dekhta hu mud kar
toh hairaani si hoti hai
kyu chhuut jaate hain raah me
bagair ijaazat k log!