Thursday 31 July 2014

Tum gaye toh..

mushkil meri saanso ka basar ho gaya
begana sa mera apna shahar ho gya
tum gye toh deewaro.n se marasim ujad gye
ghar makaa.n na hua, khandahar ho gya!

Khalbali

Kal sham khalbali si much gayi shaamiyaane me,
Maut mujhe dhoondte hue aa dhamki maikhaane me,
Maut kabhi mujhe toh kabhi mere jaam ko dekhti rahi,
2 katre zindagi ke abhi baaki thhe paimaane me!

Zindagi uski

taqseem mere shab-o-roz ko karti hai hasee uski
armaa.n zayed hain mere toh kya galti uski

sharab ab bebas si bedum si lagti hai mujhko
juda hai wo phir bhi rehti hai bekhudi uski

mera qaasa bhara hai maazi ke khush manzaro.n se bass
khwaishhe.n meri aur aab, aasma, zamee.n uski

zamana zaalim, log nadaan dete hain tohmat usse
mujhe gudgudati hai zazbaat se barhamee uski

andhere mere hisse batwaare me aa gye
aur reh gyi raato.n ki chandni uski

musalsal koshishein alhadaa hone ki nakaam hoti hain
lab mere - tishnagi uski, aankhen meri aur nami uski

vasiyat zameer likh gya thha ruuh tak uske naam
jab wo hi khafaa hai toh kya rakhu.n zindagi uski!!

Wednesday 23 July 2014

Maikhana

Naseeb se humara yaarana na hota,
Har shab khoobsurat ye zamana na hota,
Zindagi ki gaflatein khatm kar deti hume,
Jo chaar kadam ghar se maikhana na hota!!

Monday 21 July 2014

Raaz

Maine uss tak se chhupai... uske husn ki intehaa.n
Aur uss pagali ko shikayat hai... ke me koi raaz nahi rakhta!

Friday 18 July 2014

Chhup jata hai chaand kaali badli me kabhi kabhi...
Toh lagta hai teri aankhe teri surat par haavi ho gyi!

Thursday 17 July 2014

Khushnaseebi

Tum yakeen karo toh khushnaseebi hogi...
Sach hai k tum bin kuchh nahi ye zindagi hogi...

Andhron me tumhari awaaz k sahaare chalta hu me...
Tumhara haath thaame bagair kya shamaao ki raushni hogi...

Saraa jahaan jalega mujhse amaavas ki raat ko...
Mere paas teri muskuraahat ki chandni hogi...

Mujhse khuda ne puucha thha k kya chahiye mujhe...
Me samajh nahi payaa tere rehte ab kya kami hogi...

Suukha zamana karega baarish ki duaa har roz...
Mere aangan me tere kadamo se shabnam ki nami hogi

Tum yakeen karo toh khushnaseebi hogi....

Kalam

Kuchh saanse, kuchh dhadkanein mujhme bedum chhuut gayi,
Wo juda hua toh aankho me shabnam chhuut gayi,
Jagah na bachti iss duniya me kaagaz ke purzo.n ke liye,
Zamaana khushnaseeb thha jo meri kalam chhuut gayi!